Posts

Khudi Ka Sirr-e-Nihan - Allama Iqbal

 Khudi ka sirr-e-nihan La ilaha illallah Khudi hai tegh-e-fasaan La ilaha illallah Ye daur apne Braheem ki talaash mein hai Sanam-kada hai jahan, La ilaha illallah Kiya hai tu ne mataa-e-gharoor ka soda Faraib-e-soud-o-ziyan, La ilaha illallah Ye maal-o-daulat-e-dunya, ye rishta-o-paiwand Butaan-e-wehm-o-gumaan, La ilaha illallah Khird hui hai zamaan-o-makaan ki zunnaari Na hai zamaan na makaan, La ilaha illallah Ye nagnma fasl-e-gul-o-lala ka nahin paband Bahaar ho ke khizaan, La ilaha illallah Agarcheh bĂșt hain jamaat ki aasteenon mein Mujhe hai hukm-e-azaan, La ilaha illallah --- Shair: Sir Allama Muhammad Iqbal Kitaab: Bang-e-Dara Author: 342 - Jaam-e-Arsalan