Khudi Ka Sirr-e-Nihan - Allama Iqbal
Khudi ka sirr-e-nihan La ilaha illallah
Khudi hai tegh-e-fasaan La ilaha illallah
Ye daur apne Braheem ki talaash mein hai
Sanam-kada hai jahan, La ilaha illallah
Kiya hai tu ne mataa-e-gharoor ka soda
Faraib-e-soud-o-ziyan, La ilaha illallah
Ye maal-o-daulat-e-dunya, ye rishta-o-paiwand
Butaan-e-wehm-o-gumaan, La ilaha illallah
Khird hui hai zamaan-o-makaan ki zunnaari
Na hai zamaan na makaan, La ilaha illallah
Ye nagnma fasl-e-gul-o-lala ka nahin paband
Bahaar ho ke khizaan, La ilaha illallah
Agarcheh bút hain jamaat ki aasteenon mein
Mujhe hai hukm-e-azaan, La ilaha illallah
---
Shair: Sir Allama Muhammad Iqbal
Kitaab: Bang-e-Dara
Author: 342 - Jaam-e-Arsalan
Comments
Post a Comment